jis ki KHatir umr ganwai ek duniya ko bhuli main
jis ki KHatir umr ganwai ek duniya ko bhuli main
Rafia Shabnam Abidi
MORE BYRafia Shabnam Abidi
jis kī ḳhātir umr gañvā.ī ik duniyā ko bhūlī maiñ
jī kahtā thā us se kah duuñ lekin kaise kahtī maiñ
merī zaat kā jis kī nazar se itnā gahrā rishta hai
us kī aañkh samundar jaisī harī-bharī ik dhartī hai
band kivāḌoñ par ik jaanī pahchānī dastak jo sunī
yūñhī DupaTTa chhoḌ ke bhāgī nange paañv hī paglī maiñ
kis kā chehra dekh liyā thā sote sote bachpan meñ
ḳhvāboñ kī ḳhush-rang nadī meñ barsoñ Duubī ubhrī meñ
sab se baḌā ye jurm thā merā isī liye badnām huī
saarī duniyā jahāñ girī thī usī moḌ par sañbhlī maiñ
ye bhī sach hai aise kab tak mil-jul kar chal sakte the
kuchh to vo bhī thā harjā.ī thoḌī sī thī ziddī maiñ
yūñhī shāyad jaate jaate us ne idhar bhī dekhā ho
jāḌoñ kā mausam thā lekin sar se pā tak bhīgī maiñ
mere liye to jiine kā ye ek sahārā kaafī hai
koī chāhe kuchh bhī kah le terī nazar meñ achchhī maiñ
merī majbūrī ne 'shabnam' jis ko bad-zan kar Daalā
us kī qasam thī jaan se pyārī jhūTī kaise khātī maiñ
jis ki KHatir umr ganwai ek duniya ko bhuli main
ji kahta tha us se kah dun lekin kaise kahti main
meri zat ka jis ki nazar se itna gahra rishta hai
us ki aankh samundar jaisi hari-bhari ek dharti hai
band kiwaDon par ek jaani pahchani dastak jo suni
yunhi DupaTTa chhoD ke bhagi nange panw hi pagli main
kis ka chehra dekh liya tha sote sote bachpan mein
KHwabon ki KHush-rang nadi mein barson Dubi ubhri mein
sab se baDa ye jurm tha mera isi liye badnam hui
sari duniya jahan giri thi usi moD par sanbhli main
ye bhi sach hai aise kab tak mil-jul kar chal sakte the
kuchh to wo bhi tha harjai thoDi si thi ziddi main
yunhi shayad jate jate us ne idhar bhi dekha ho
jaDon ka mausam tha lekin sar se pa tak bhigi main
mere liye to jine ka ye ek sahaara kafi hai
koi chahe kuchh bhi kah le teri nazar mein achchhi main
meri majburi ne 'shabnam' jis ko bad-zan kar Dala
us ki qasam thi jaan se pyari jhuTi kaise khati main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.