jis ki koi tabir na ho wo KHwab dikhane aa jate hain
jis kī koī tā'bīr na ho vo ḳhvāb dikhāne aa jaate haiñ
aanā chāheñ to aksar vo kisī bahāne aa jaate haiñ
aate haiñ to aur ziyāda pareshān kar jaate haiñ vo
log samajhte haiñ ki hamārā jī bahlāne aa jaate haiñ
rasta kuchh hamvār to kuchh dushvār bhī karte jaate haiñ vo
ik dīvār girāne to ik na.ī uThāne aa jaate haiñ
bahut sañvārī suljhī huī zulfoñ vaale dar-asl hamārī
uljhī huī tabī'at ko kuchh aur uljhāne aa jaate haiñ
apne aap ko ḳhush rakhne kī karte rahte haiñ koshish bhī
sochte sochte dil meñ ḳhauf bhī na.e purāne aa jaate haiñ
yuuñ hai 'zafar' ahbāb kī mahfil meñ apnā ye ānā-jānā
jo mauzūñ hī nahīñ hue vo she'r sunāne aa jaate haiñ
jis ki koi ta'bir na ho wo KHwab dikhane aa jate hain
aana chahen to aksar wo kisi bahane aa jate hain
aate hain to aur ziyaada pareshan kar jate hain wo
log samajhte hain ki hamara ji bahlane aa jate hain
rasta kuchh hamwar to kuchh dushwar bhi karte jate hain wo
ek diwar girane to ek nai uThane aa jate hain
bahut sanwari suljhi hui zulfon wale dar-asl hamari
uljhi hui tabi'at ko kuchh aur uljhane aa jate hain
apne aap ko KHush rakhne ki karte rahte hain koshish bhi
sochte sochte dil mein KHauf bhi nae purane aa jate hain
yun hai 'zafar' ahbab ki mahfil mein apna ye aana-jaana
jo mauzun hi nahin hue wo she'r sunane aa jate hain
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 209)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.