jis ki rahi talash hamesha wo tu na ho
jis kī rahī talāsh hamesha vo tū na ho
mumkin hai tū mile to koī justujū na ho
tū hī batā ye ishq kā hai kaun sā maqām
dil ko ye aarzū hai tirī aarzū na ho
husn-e-tahī-vafā kabhī is phuul ko bhī dekh
jis meñ jamāl-e-rang to ho aur bū na ho
yuuñ hai kisī kī kaifiyat-e-chashm kī havas
jaise kaheñ sharāb nahīñ yā subū na ho
ai dost mere ishq pe tanqīd bhī zarūr
lekin ye soch le ye tirī aabrū na ho
hāthoñ meñ jo khilā hai vo rang-e-hinā sahī
ḳhanjar ko dekh us pe kisī kā lahū na ho
ai zulf phail jā ki numā.ish nahīñ hai ye
hastī kā kyā subūt jo zauq-e-numū na ho
'shaukat' ham us ke dard-e-tamannā ko bhuul jaa.eñ
par vo sitam-zarīf bhī to rū-ba-rū na ho
jis ki rahi talash hamesha wo tu na ho
mumkin hai tu mile to koi justuju na ho
tu hi bata ye ishq ka hai kaun sa maqam
dil ko ye aarzu hai teri aarzu na ho
husn-e-tahi-wafa kabhi is phul ko bhi dekh
jis mein jamal-e-rang to ho aur bu na ho
yun hai kisi ki kaifiyat-e-chashm ki hawas
jaise kahen sharab nahin ya subu na ho
ai dost mere ishq pe tanqid bhi zarur
lekin ye soch le ye teri aabru na ho
hathon mein jo khila hai wo rang-e-hina sahi
KHanjar ko dekh us pe kisi ka lahu na ho
ai zulf phail ja ki numaish nahin hai ye
hasti ka kya subut jo zauq-e-numu na ho
'shaukat' hum us ke dard-e-tamanna ko bhul jaen
par wo sitam-zarif bhi to ru-ba-ru na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.