jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin
jis kī sifāt qahr-o-ġhazab ke sivā nahīñ
vaa.iz kā vo ḳhudā hai hamārā ḳhudā nahīñ
chāragarī kā karte the da.avā bahut magar
tum se ilāj-e-dard-e-mohabbat huā nahīñ
kyā jaane ab ke aa.ī hai kaisī ye fasl-e-gul
pahlī sī vo chaman kī mo.attar fazā nahīñ
ai charḳh tū ne saare jahāñ ko kiyā tabāh
afsos tere hāthoñ se koī bachā nahīñ
bahr-e-alam meñ roz hai tūfāñ kā sāmnā
TuuTī hai naav past magar hausla nahīñ
bhūle se bhī na karnā zamāne kā e.atibār
sab kuchh hai is jahān meñ lekin vafā nahīñ
kashtī ko ḳhauf kyā ho talātum kā ai 'riyāz'
hāfiz mirā ḳhudā hai agar nāḳhudā nahīñ
jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin
waiz ka wo KHuda hai hamara KHuda nahin
chaaragari ka karte the dawa bahut magar
tum se ilaj-e-dard-e-mohabbat hua nahin
kya jaane ab ke aai hai kaisi ye fasl-e-gul
pahli si wo chaman ki moattar faza nahin
ai charKH tu ne sare jahan ko kiya tabah
afsos tere hathon se koi bacha nahin
bahr-e-alam mein roz hai tufan ka samna
TuTi hai naw past magar hausla nahin
bhule se bhi na karna zamane ka eatibar
sab kuchh hai is jahan mein lekin wafa nahin
kashti ko KHauf kya ho talatum ka ai 'riyaz'
hafiz mera KHuda hai agar naKHuda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.