jis ki tahwil mein TuTa tha sitara dil ka
jis kī tahvīl meñ TuuTā thā sitāra dil kā
haal tak us ne nahīñ pūchhā dobāra dil kā
maiñ mohabbat ke samundar meñ utar aaya huuñ
Duub jaane ko hai ab mujh meñ kināra dil kā
kaash kuchh vaqt tū ruk jaa.e mirī mahfil meñ
kaash ai dost samajh le tū ishāra dil kā
maiñ na kahtā thā mohabbat meñ nahīñ hāsil kuchh
maiñ na kahtā thā ki hai ishq ḳhasāra dil kā
tujh pe martā hai to is dil ko pashemān na kar
kuchh bharam rakh le mohabbat meñ ḳhudārā dil kā
ye jo duniyā hai sahīfa hai koī dhyān se paḌh
ye zamīñ asl meñ hai ek sipāra dil kā
ham ne jitnā bhī kahā dil se kahā hai 'rāshid'
sher meñ lafz nahīñ ḳhuun utārā dil kā
jis ki tahwil mein TuTa tha sitara dil ka
haal tak us ne nahin puchha dobara dil ka
main mohabbat ke samundar mein utar aaya hun
Dub jaane ko hai ab mujh mein kinara dil ka
kash kuchh waqt tu ruk jae meri mahfil mein
kash ai dost samajh le tu ishaara dil ka
main na kahta tha mohabbat mein nahin hasil kuchh
main na kahta tha ki hai ishq KHasara dil ka
tujh pe marta hai to is dil ko pasheman na kar
kuchh bharam rakh le mohabbat mein KHudara dil ka
ye jo duniya hai sahifa hai koi dhyan se paDh
ye zamin asl mein hai ek sipara dil ka
hum ne jitna bhi kaha dil se kaha hai 'rashid'
sher mein lafz nahin KHun utara dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.