jis ki talab thi mujhko wo rahat kahan mili
jis kī talab thī mujh ko vo rāhat kahāñ milī
tum mil ga.e tumhārī mohabbat kahāñ milī
kyā kyā diye haiñ chashm-e-tasavvur ne bhī fareb
mere ḳhayāl se tirī sūrat kahāñ milī
dil kā dayār-e-husn meñ jā kar milā surāġh
khoī kahāñ thī aur ye daulat kahāñ milī
vo bazm-e-mai-kada ho ki ḳhalvat-gah-e-haram
dil ko ḳhayāl-e-dost fursat kahāñ milī
us ne to ek baar bhī dekhā na pyaar se
mujh ko mirī vafāoñ kī qīmat kahāñ milī
talvoñ se ḳhaar chunte rahe haiñ tamām umr
āvārgān-e-shauq ko rāhat kahāñ milī
kahte haiñ jis ko ishq muqaddar kī baat hai
sab ko ḳhudā ke ghar se ye daulat kahāñ milī
jī to bahal gayā tirī mahfil meñ kuchh magar
mujh ko ġham-e-hayāt se fursat kahāñ milī
guzrā hai dard had se to hañsne lagā huuñ maiñ
'nāsir' vagarna mujh ko masarrat kahāñ milī
jis ki talab thi mujh ko wo rahat kahan mili
tum mil gae tumhaari mohabbat kahan mili
kya kya diye hain chashm-e-tasawwur ne bhi fareb
mere KHayal se teri surat kahan mili
dil ka dayar-e-husn mein ja kar mila suragh
khoi kahan thi aur ye daulat kahan mili
wo bazm-e-mai-kada ho ki KHalwat-gah-e-haram
dil ko KHayal-e-dost fursat kahan mili
us ne to ek bar bhi dekha na pyar se
mujh ko meri wafaon ki qimat kahan mili
talwon se KHar chunte rahe hain tamam umr
aawargan-e-shauq ko rahat kahan mili
kahte hain jis ko ishq muqaddar ki baat hai
sab ko KHuda ke ghar se ye daulat kahan mili
ji to bahal gaya teri mahfil mein kuchh magar
mujh ko gham-e-hayat se fursat kahan mili
guzra hai dard had se to hansne laga hun main
'nasir' wagarna mujh ko masarrat kahan mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.