jis ko apna kah sakun koi jahan aisa to ho
jis ko apnā kah sakūñ koī jahāñ aisā to ho
jab zamīñ aisī nahīñ hai āsmāñ aisā to ho
sar chhupāne ko zamīñ par ik makāñ aisā to ho
sā.ebāñ kā shak ho jis par sā.ebāñ aisā to ho
mehrbāñ koī nahīñ duniyā meñ ye sach hai magar
vaqt par kaam aa.e koī mehrbāñ aisā to ho
jis tarah aatī hai har dam mere āñgan meñ sabā
terī aahaT kā kabhī dil meñ gumāñ aisā to ho
sham.a vo apne hī hāthoñ se bujhā kar kah ga.e
kam se kam uThtā huā dil se dhuāñ aisā to ho
sab ko ho tark-e-ta.alluq par ta.alluq kā gumāñ
kuchh na kuchh rabt-o-ta.alluq darmiyāñ aisā to ho
jis ko apna kah sakun koi jahan aisa to ho
jab zamin aisi nahin hai aasman aisa to ho
sar chhupane ko zamin par ek makan aisa to ho
saeban ka shak ho jis par saeban aisa to ho
mehrban koi nahin duniya mein ye sach hai magar
waqt par kaam aae koi mehrban aisa to ho
jis tarah aati hai har dam mere aangan mein saba
teri aahaT ka kabhi dil mein guman aisa to ho
shama wo apne hi hathon se bujha kar kah gae
kam se kam uThta hua dil se dhuan aisa to ho
sab ko ho tark-e-talluq par talluq ka guman
kuchh na kuchh rabt-o-talluq darmiyan aisa to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.