jis ko apna naqsh-e-pa milta nahin
jis ko apnā naqsh-e-pā miltā nahīñ
us ko manzil kā pata miltā nahīñ
ab to bazm-e-nāz meñ bhī aap kī
mere dil ko aasrā miltā nahīñ
zarre zarre se tajallī hai ayaañ
kaun kahtā hai ḳhudā miltā nahīñ
yād-e-jānāñ kī ināyat dekhiye
zaḳhm-e-dil ko aa.ina miltā nahīñ
kal to mil jaate the har ek moḌ par
aaj koī rahnumā miltā nahīñ
is jahān-e-ġhair meñ apnā mujhe
koī bhī ġham ke sivā miltā nahīñ
kyā patā un kā batā.egā bhalā
'shād' ko ḳhud kā pata miltā nahīñ
jis ko apna naqsh-e-pa milta nahin
us ko manzil ka pata milta nahin
ab to bazm-e-naz mein bhi aap ki
mere dil ko aasra milta nahin
zarre zarre se tajalli hai ayan
kaun kahta hai KHuda milta nahin
yaad-e-jaanan ki inayat dekhiye
zaKHm-e-dil ko aaina milta nahin
kal to mil jate the har ek moD par
aaj koi rahnuma milta nahin
is jahan-e-ghair mein apna mujhe
koi bhi gham ke siwa milta nahin
kya pata un ka bataega bhala
'shad' ko KHud ka pata milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.