Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko apne bas mein karna tha us se hi laD baiTha

Navin C. Chaturvedi

jis ko apne bas mein karna tha us se hi laD baiTha

Navin C. Chaturvedi

MORE BYNavin C. Chaturvedi

    jis ko apne bas meñ karnā thā us se laḌ baiThā

    sīdhā mantar paḌhte paḌhte ulTā mantar paḌh baiThā

    vo aisā tasvīr-navāza ki jis ko maiñ jañchtā nahīñ

    aur ik maiñ har frame ke andar chitr usī jaḌ baiThā

    gyaan luTāne niklā thā aur jholī meñ bhar laayā pyaar

    maiñ aisā rañg-rez huuñ jis pe rañg chunar chaḌh baiThā

    parsoñ maiñ bāzār gayā thā darpan lene ḳhātir

    kyā bolūñ dūkān pe maiñ sharm ke maare gaḌ baiThā

    baaqī bāteñ phir kar leñge aaj ye gutthī suljhā leñ

    dhartī kankaḌ par baiThī phir is par kankaḌ baiThā

    jis ko apne bas mein karna tha us se hi laD baiTha

    sidha mantar paDhte paDhte ulTa mantar paDh baiTha

    wo aisa taswir-nawaza ki jis ko main janchta hi nahin

    aur ek main har frame ke andar chitr usi ka jaD baiTha

    gyan luTane nikla tha aur jholi mein bhar laya pyar

    main aisa rang-rez hun jis pe rang chunar ka chaDh baiTha

    parson main bazar gaya tha darpan lene ki KHatir

    kya bolun dukan pe hi main sharm ke mare gaD baiTha

    baqi baaten phir kar lenge aaj ye gutthi suljha len

    dharti kankaD par baiThi ya phir is par kankaD baiTha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now