jis ko chaha tha kab mila mujhko
jis ko chāhā thā kab milā mujh ko
zindagī se hai ye gila mujh ko
dard yādeñ aur ik shikasta-dil
āshiqī kā hai ye sila mujh ko
aur kisī se bhī rabt rakhne kā
raas aayā na silsila mujh ko
ab to āñkhoñ se jī nahīñ bhartā
ab ke hoñToñ se hī pilā mujh ko
merī qismat meñ qurb kā lamha
gar likhā hai to phir dilā mujh ko
us kī yādoñ kī chāñdnī har shab
baḳhsh detī hai kuchh jilā mujh ko
jis ko chaha tha kab mila mujh ko
zindagi se hai ye gila mujh ko
dard yaaden aur ek shikasta-dil
aashiqi ka hai ye sila mujh ko
aur kisi se bhi rabt rakhne ka
ras aaya na silsila mujh ko
ab to aankhon se ji nahin bharta
ab ke honTon se hi pila mujh ko
meri qismat mein qurb ka lamha
gar likha hai to phir dila mujh ko
us ki yaadon ki chandni har shab
baKHsh deti hai kuchh jila mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.