jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila
jis ko chāhā thā na paayā jo na chāhā thā milā
baḳhshisheñ haiñ be-hisāb us kī hameñ kyā kyā milā
ajnabī chehroñ meñ phir ik āshnā chehrā milā
phir mujhe us ke ta.alluq se patā apnā milā
is chaman meñ phuul kī sūrat rahā maiñ chāk-dil
is chaman meñ shabnam-āsā maiñ sadā pyāsā milā
phir qadam uThne lage haiñ shahr-e-nā-pursāñ kī samt
mere pā-e-shauq ko to ek hī rasta milā
dekh kar us ko bhalā phir kis ko dekhā jaa.e hai
majma-e-aġhyār meñ bhī us se maiñ tanhā milā
yuuñ huā ruḳhsat rahī baaqī na milne kī umiid
yuuñ milā vo jaise muddat kā koī bichhḌā milā
jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila
baKHshishen hain be-hisab us ki hamein kya kya mila
ajnabi chehron mein phir ek aashna chehra mila
phir mujhe us ke talluq se pata apna mila
is chaman mein phul ki surat raha main chaak-dil
is chaman mein shabnam-asa main sada pyasa mila
phir qadam uThne lage hain shahr-e-na-pursan ki samt
mere pa-e-shauq ko to ek hi rasta mila
dekh kar us ko bhala phir kis ko dekha jae hai
majma-e-aghyar mein bhi us se main tanha mila
yun hua ruKHsat rahi baqi na milne ki umid
yun mila wo jaise muddat ka koi bichhDa mila
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. شاہد عشقی)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.