jis ko dayar-e-ishq se wabastagi mili
jis ko dayār-e-'ishq se vābastagī milī
tārīkiyoñ meñ us ko na.ī raushnī milī
ThanDī thī jis ke siine meñ har aag der se
nafrat kī aag mujh ko vahāñ bhī lagī milī
apnoñ ko chhoḌ dete haiñ ġhairoñ ke vāste
logoñ meñ aaj sab se baḌī ye kamī milī
har rāste pe maut kā saaya thā duur tak
har moḌ par sisaktī huī zindagī milī
rishvat to saare logoñ kī imdād ho ga.ī
jab se havāla case kī hai Diary milī
hāsil nahīñ sukūn to daulat ko kyā kareñ
daulat ke saath ham ko 'ajab muflisī milī
paisa har ek chiiz kā mehvar hai āj-kal
duniyā isī pe aaj mujhe ghūmtī milī
jis ne irāda kar liyā nekī kā raah meñ
manzil hamesha un ke qadam chūmtī milī
jis ne banā.īñ ġhairoñ kī ūñchī 'imārateñ
rahne ke vāste na use jhoñpḌī milī
ghar aa.e saare din kī thakan le ke ai 'kashish'
bachchoñ ko dekhte hī na.ī tāzgī milī
jis ko dayar-e-'ishq se wabastagi mili
tarikiyon mein us ko nai raushni mili
ThanDi thi jis ke sine mein har aag der se
nafrat ki aag mujh ko wahan bhi lagi mili
apnon ko chhoD dete hain ghairon ke waste
logon mein aaj sab se baDi ye kami mili
har raste pe maut ka saya tha dur tak
har moD par sisakti hui zindagi mili
rishwat to sare logon ki imdad ho gai
jab se hawala case ki hai Diary mili
hasil nahin sukun to daulat ko kya karen
daulat ke sath hum ko 'ajab muflisi mili
paisa har ek chiz ka mehwar hai aaj-kal
duniya isi pe aaj mujhe ghumti mili
jis ne irada kar liya neki ka rah mein
manzil hamesha un ke qadam chumti mili
jis ne banain ghairon ki unchi 'imaraten
rahne ke waste na use jhonpDi mili
ghar aae sare din ki thakan le ke ai 'kashish'
bachchon ko dekhte hi nai tazgi mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.