jis ko dekhe bina qarar nahin
jis ko dekhe binā qarār nahīñ
kaise kah deñ ki us se pyaar nahīñ
ruḳh pe tere agar nikhār nahīñ
tū bahār ai sanam bahār nahīñ
is meñ sūd-o-ziyāñ kā kar na hisāb
ishq ibādat hai kārobār nahīñ
rok lo tum se gar ye ruktā hai
dil pe merā to iḳhtiyār nahīñ
go musībat meñ sab nadārad the
varna ishrat meñ kaun yaar nahīñ
kyoñ na jī-bhar ke ro liyā jaa.e
paas jab koī ġham-gusār nahīñ
chup rahūñ kaise tak ke zulm-o-sitam
aadmī huuñ koī mazār nahīñ
hājateñ haiñ ginī-chunī sab kī
hasratoñ kā koī shumār nahīñ
kyā yaqīñ ahd-e-vasl kā ai 'sadā'
ziist kā hī jab e.atibār nahīñ
jis ko dekhe bina qarar nahin
kaise kah den ki us se pyar nahin
ruKH pe tere agar nikhaar nahin
tu bahaar ai sanam bahaar nahin
is mein sud-o-ziyan ka kar na hisab
ishq ibaadat hai karobar nahin
rok lo tum se gar ye rukta hai
dil pe mera to iKHtiyar nahin
go musibat mein sab nadarad the
warna ishrat mein kaun yar nahin
kyon na ji-bhar ke ro liya jae
pas jab koi gham-gusar nahin
chup rahun kaise tak ke zulm-o-sitam
aadmi hun koi mazar nahin
hajaten hain gini-chuni sab ki
hasraton ka koi shumar nahin
kya yaqin ahd-e-wasl ka ai 'sada'
zist ka hi jab eatibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.