jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui
jis ko dekho zard chehra aañkh pathrā.ī huī
ḳhuub ai īsā-nafas terī masīhā.ī huī
karb kī ik mushtarak tahrīr har chehre pe thī
ajnabī logoñ se pal bhar meñ shanāsā.ī huī
be-usūlī maslahat ke naam se phūlī-phalī
ham usūloñ par lage jiine to rusvā.ī huī
kar rahā huuñ haal meñ guzre hue lamhe talāsh
gutthiyāñ suljhā rahā huuñ apnī uljhā.ī huī
sar se ūñchā thā jo paanī sar se ūñchā hī rahā
jitnā qad baḌhtā gayā utnī hī gahrā.ī huī
jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui
KHub ai isa-nafas teri masihai hui
karb ki ek mushtarak tahrir har chehre pe thi
ajnabi logon se pal bhar mein shanasai hui
be-usuli maslahat ke nam se phuli-phali
hum usulon par lage jine to ruswai hui
kar raha hun haal mein guzre hue lamhe talash
gutthiyan suljha raha hun apni uljhai hui
sar se uncha tha jo pani sar se uncha hi raha
jitna qad baDhta gaya utni hi gahrai hui
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 69)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.