jis ko duniya manti hai aap ka mera bhi hai
jis ko duniyā māntī hai aap kā merā bhī hai
aap kī manzil hai vo par rāsta merā bhī hai
jism tak kā mudda'ā merā nahīñ par ai raqīb
us ke aage jo bhī hai vo mudda'ā merā bhī hai
saarī duniyā māntī hai ḳhūb-sūrat aap haiñ
aur aisā hī yaqīnan mānñā merā bhī hai
tum mujhe chāho sarāho dekh lo par haath kī
in lakīroñ meñ tumhāre naam kyā merā bhī hai
yuuñ hī to in fāsloñ se dil mirā dukhtā nahīñ
kuchh na kuchh to yaar tujh se rābta merā bhī hai
maiñ gale lagtā huuñ lekin maiñ gale paḌtā nahīñ
had meñ behad huuñ magar ik dā.era merā bhī hai
jab talak māñge na koī mashvarā mat dījiye
aap logoñ ke liye ye mashvarā merā bhī hai
jis ko duniya manti hai aap ka mera bhi hai
aap ki manzil hai wo par rasta mera bhi hai
jism tak ka mudda'a mera nahin par ai raqib
us ke aage jo bhi hai wo mudda'a mera bhi hai
sari duniya manti hai KHub-surat aap hain
aur aisa hi yaqinan manna mera bhi hai
tum mujhe chaho saraho dekh lo par hath ki
in lakiron mein tumhaare nam kya mera bhi hai
yun hi to in faslon se dil mera dukhta nahin
kuchh na kuchh to yar tujh se rabta mera bhi hai
main gale lagta hun lekin main gale paDta nahin
had mein behad hun magar ek daera mera bhi hai
jab talak mange na koi mashwara mat dijiye
aap logon ke liye ye mashwara mera bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.