jis ko duniya zawal deti hai
jis ko duniyā zavāl detī hai
us ko qudrat kamāl detī hai
merī vahshat ye merī tanhā.ī
kaise kaise savāl detī hai
us ke lahje kī ramziyat aksar
mujh ko mushkil meñ Daal detī hai
ye jo raste meñ dhuul uḌtī hai
merā paikar ujaal detī hai
merī ḳhvāhish ajiib ḳhvāhish hai
har-qadam par malāl detī hai
hijr meñ lamha bhar kī purvā.ī
kitne manzar uchhāl detī hai
jis ko duniya zawal deti hai
us ko qudrat kamal deti hai
meri wahshat ye meri tanhai
kaise kaise sawal deti hai
us ke lahje ki ramziyat aksar
mujh ko mushkil mein Dal deti hai
ye jo raste mein dhul uDti hai
mera paikar ujal deti hai
meri KHwahish ajib KHwahish hai
har-qadam par malal deti hai
hijr mein lamha bhar ki purwai
kitne manzar uchhaal deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.