jis ko ehsas-e-gham nahin hota
jis ko ehsās-e-ġham nahīñ hotā
vo kabhī chashm-e-nam nahīñ hotā
yuuñ to azmat meñ ik farishte se
koī insāñ bhī kam nahīñ hotā
ishq meñ dāġh-e-dil ḳhudā rakkhe
chāñd sūraj se kam nahīñ hotā
ashk mizhgāñ pe hī larazte haiñ
qatra dariyā meñ zam nahīñ hotā
marg-e-bulbul pe aaj gulshan meñ
dīda-e-gul bhī nam nahīñ hotā
chārasāzoñ kī ab tasallī se
sadma-e-hijr kam nahīñ hotā
bevafā to zamāna rahtā hai
bā-vafā bhī sanam nahīñ hotā
ishq āsāñ nahīñ kisī kā 'asar'
kis kī zulfoñ meñ ḳham nahīñ hotā
jis ko ehsas-e-gham nahin hota
wo kabhi chashm-e-nam nahin hota
yun to azmat mein ek farishte se
koi insan bhi kam nahin hota
ishq mein dagh-e-dil KHuda rakkhe
chand suraj se kam nahin hota
ashk mizhgan pe hi larazte hain
qatra dariya mein zam nahin hota
marg-e-bulbul pe aaj gulshan mein
dida-e-gul bhi nam nahin hota
chaarasazon ki ab tasalli se
sadma-e-hijr kam nahin hota
bewafa to zamana rahta hai
ba-wafa bhi sanam nahin hota
ishq aasan nahin kisi ka 'asar'
kis ki zulfon mein KHam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.