jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah
jis ko jaanā thā kal tak ḳhudā kī tarah
aaj miltā hai vo āshnā kī tarah
merī hastī bhī ho jā.egī jāvedāñ
dast-e-qātil uThā hai duā kī tarah
us ke hāthoñ pe haiñ mere ḳhuuñ ke nishāñ
jo mahakte haiñ rañg-e-hinā kī tarah
justujū hai mujhe aaj us shaḳhs kī
jo vafā bhī kare bevafā kī tarah
rāh-e-manzil meñ baiTho na yuuñ haar kar
rauñde jāoge tum naqsh-e-pā kī tarah
kārvāñ kārvāñ pahuñche manzil pe ham
rah badaltī rahī rahnumā kī tarah
jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah
aaj milta hai wo aashna ki tarah
meri hasti bhi ho jaegi jawedan
dast-e-qatil uTha hai dua ki tarah
us ke hathon pe hain mere KHun ke nishan
jo mahakte hain rang-e-hina ki tarah
justuju hai mujhe aaj us shaKHs ki
jo wafa bhi kare bewafa ki tarah
rah-e-manzil mein baiTho na yun haar kar
raunde jaoge tum naqsh-e-pa ki tarah
karwan karwan pahunche manzil pe hum
rah badalti rahi rahnuma ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.