jis ko jitna hosh hai itna hi wo diwana hai
jis ko jitna hosh hai itna hi wo diwana hai
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
jis ko jitnā hosh hai itnā hī vo dīvāna hai
kyā kaheñ dīvāna-pan hī hosh kā paimāna hai
jis ke dil meñ imtiyāz-e-ka.aba-o-but-ḳhāna hai
manziloñ duur us se rāh-e-manzil-e-jānāna hai
dahr meñ lailā-e-āzādī kā jo dīvāna hai
us kā har naqsh-e-qadam mere liye but-ḳhāna hai
is jahāñ kī baat ho yā us jahāñ kī baat ho
ye bhī qissa hai terā vo bhī terā afsāna hai
is ko daulat kā nasha hai us ko izzat kā ḳhumār
har koī mad.hosh hai duniyā bhī kyā mai-ḳhāna hai
chashm-e-haq-bīñ kah rahī hai ye zabān-e-hāl se
ḳhvāb hai duniyā kisī kā yā koī afsāna hai
zarra zarra meñ nazar aatā hai jis ko husn-e-dost
vo jahāñ meñ be-niyāz-e-ka.aba-o-but-ḳhāna hai
jis meñ jitnī hai sharāfat us qadar jhuktā hai vo
inkisārī dar-haqīqat zarf kā paimāna hai
dil sahī lekin vo dil koī diloñ meñ dil nahīñ
dard se nā-āshnā ulfat se jo begāna hai
be-sabātī-e-jahāñ par kaun kartā hai yaqīñ
ham samajh kar bhī na ye samjhe ki ye afsāna hai
aa rahī haiñ dil se ġhāfil ye sadā.eñ dam-ba-dam
daulat-e-duniyā ke pīchhe kis liye dīvāna hai
aabrū jaa.e vatan kī aur tum dekhā karo
kyā yahī ai nau-javāno himmat-e-mardāna hai
jis kā maz.hab ban gayā ho ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā
us ko 'sūfī' is se kyā ye ḳhvesh ye begāna hai
kaif taarī hai dimāġh-o-dil pe us ke kis qadar
jām-o-hiddat pī ke 'sūfī' kis qadar mastāna hai
jis ko jitna hosh hai itna hi wo diwana hai
kya kahen diwana-pan hi hosh ka paimana hai
jis ke dil mein imtiyaz-e-kaba-o-but-KHana hai
manzilon dur us se rah-e-manzil-e-jaanana hai
dahr mein laila-e-azadi ka jo diwana hai
us ka har naqsh-e-qadam mere liye but-KHana hai
is jahan ki baat ho ya us jahan ki baat ho
ye bhi qissa hai tera wo bhi tera afsana hai
is ko daulat ka nasha hai us ko izzat ka KHumar
har koi madhosh hai duniya bhi kya mai-KHana hai
chashm-e-haq-bin kah rahi hai ye zaban-e-haal se
KHwab hai duniya kisi ka ya koi afsana hai
zarra zarra mein nazar aata hai jis ko husn-e-dost
wo jahan mein be-niyaz-e-kaba-o-but-KHana hai
jis mein jitni hai sharafat us qadar jhukta hai wo
inkisari dar-haqiqat zarf ka paimana hai
dil sahi lekin wo dil koi dilon mein dil nahin
dard se na-ashna ulfat se jo begana hai
be-sabaati-e-jahan par kaun karta hai yaqin
hum samajh kar bhi na ye samjhe ki ye afsana hai
aa rahi hain dil se ghafil ye sadaen dam-ba-dam
daulat-e-duniya ke pichhe kis liye diwana hai
aabru jae watan ki aur tum dekha karo
kya yahi ai nau-jawano himmat-e-mardana hai
jis ka mazhab ban gaya ho KHidmat-e-KHalq-e-KHuda
us ko 'sufi' is se kya ye KHwesh ye begana hai
kaif tari hai dimagh-o-dil pe us ke kis qadar
jam-o-hiddat pi ke 'sufi' kis qadar mastana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.