Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko lagta hai gum-shuda hun main

Seema Sharma Sarhad

jis ko lagta hai gum-shuda hun main

Seema Sharma Sarhad

MORE BYSeema Sharma Sarhad

    jis ko lagtā hai gum-shuda huuñ maiñ

    jaan le mujh ko zalzala huuñ meñ

    maiñ bachātī huuñ bad-duāoñ se

    maañ bhejī huī duā huuñ maiñ

    kho gayā jo ghane añdheroñ meñ

    us ujāle rāsta huuñ maiñ

    mujh ko pahchān mere naaz uThā

    terā apnoñ se rābta huuñ maiñ

    nafratoñ ne diye haiñ jo tum ko

    aise har dard davā huuñ maiñ

    vaqt se haar kar na baiTh mujhe

    phir bulā le tirī adā huuñ maiñ

    maiñ sukūñ huuñ ḳhushī bhī huuñ 'sarhad'

    kaun kahtā hai ġham-zada huuñ maiñ

    jis ko lagta hai gum-shuda hun main

    jaan le mujh ko zalzala hun mein

    main bachati hun bad-duaon se

    man ki bheji hui dua hun main

    kho gaya jo ghane andheron mein

    us ujale ka rasta hun main

    mujh ko pahchan mere naz uTha

    tera apnon se rabta hun main

    nafraton ne diye hain jo tum ko

    aise har dard ki dawa hun main

    waqt se haar kar na baiTh mujhe

    phir bula le teri ada hun main

    main sukun hun KHushi bhi hun 'sarhad'

    kaun kahta hai gham-zada hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now