jis ko main chand samajhta tha daricha nikla
jis ko maiñ chāñd samajhtā thā darīcha niklā
qaid-e-tanhā.ī meñ jiine kā sahārā niklā
ḳhud jo be-yār-o-madadgār paḌā thā sar-e-rāh
vo mire vāste ik peḌ ghanerā niklā
daf.atan Daal liye maiñ ne laboñ par taale
bazm-e-sad-rang meñ jab zikr tumhārā niklā
huiiñ ḳhāmosh jo atrāf kī sab āvāzeñ
mere andar se koī shor machātā niklā
āsmāñ ne mire raste meñ bichhā.īñ āñkheñ
biich dariyā meñ mire vāste rasta niklā
bas zarā zāviya-e-dīd jo badlā maiñ ne
dushman-e-jāñ bhī mirā chāhne vaalā niklā
yuuñ lagā jaise koī detā hai āvāz mujhe
paaoñ rakhte hī maiñ sahrā ke udhar jā niklā
ālam-e-fikr-o-tajassus pe hai taarī sakta
ek zarre ke hue TukḌe to kyā kyā niklā
jis ke sajde ko jabīñ ḳham huī ḳhurshīdoñ kī
batn se tīra-shabī ke vo ujālā niklā
raat baiThī thī sar-e-rāh bikhere gesū
apnī dīvār se maiñ ban ke hayūlā niklā
aañch halkī sī jo lag jaa.e pighal jaatā hai
terā ehsās bhī 'yāvar' mire jaisā niklā
jis ko main chand samajhta tha daricha nikla
qaid-e-tanhai mein jine ka sahaara nikla
KHud jo be-yar-o-madadgar paDa tha sar-e-rah
wo mere waste ek peD ghanera nikla
dafatan Dal liye main ne labon par tale
bazm-e-sad-rang mein jab zikr tumhaara nikla
huin KHamosh jo atraf ki sab aawazen
mere andar se koi shor machata nikla
aasman ne mere raste mein bichhain aankhen
bich dariya mein mere waste rasta nikla
bas zara zawiya-e-did jo badla main ne
dushman-e-jaan bhi mera chahne wala nikla
yun laga jaise koi deta hai aawaz mujhe
paon rakhte hi main sahra ke udhar ja nikla
aalam-e-fikr-o-tajassus pe hai tari sakta
ek zarre ke hue TukDe to kya kya nikla
jis ke sajde ko jabin KHam hui KHurshidon ki
batn se tira-shabi ke wo ujala nikla
raat baiThi thi sar-e-rah bikhere gesu
apni diwar se main ban ke hayula nikla
aanch halki si jo lag jae pighal jata hai
tera ehsas bhi 'yawar' mere jaisa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.