jis ko wo naqsh-e-pa nahin milta
jis ko vo naqsh-e-pā nahīñ miltā
zarra bhī ḳhaak kā nahīñ miltā
log to rote haiñ ġham-e-dil ko
ham ko dil kā patā nahīñ miltā
kis nujūmī se pūchhiye jā kar
yaar miltā hai yā nahīñ miltā
kyoñ mire paas aa.e vo jab tak
jism se sar judā nahīñ miltā
dil ke do harf vo bhī aapas meñ
ek se dūsrā nahīñ miltā
marnā hai ḳhvāb-e-zīst kī ta.abīr
ḳhvāb meñ jo milā nahīñ miltā
kar chuke sair bhī do-ālam kī
ek bhī aap sā nahīñ miltā
kis sarā meñ musāfir aa utrā
zindagī kā mazā nahīñ miltā
jis ne dushman bhulā diye saare
ham ko vo āshnā nahīñ miltā
jo dar-e-kār-sāz tak pahuñche
us ko 'nāyāb' kyā nahīñ miltā
jis ko wo naqsh-e-pa nahin milta
zarra bhi KHak ka nahin milta
log to rote hain gham-e-dil ko
hum ko dil ka pata nahin milta
kis nujumi se puchhiye ja kar
yar milta hai ya nahin milta
kyon mere pas aae wo jab tak
jism se sar juda nahin milta
dil ke do harf wo bhi aapas mein
ek se dusra nahin milta
marna hai KHwab-e-zist ki tabir
KHwab mein jo mila nahin milta
kar chuke sair bhi do-alam ki
ek bhi aap sa nahin milta
kis sara mein musafir aa utra
zindagi ka maza nahin milta
jis ne dushman bhula diye sare
hum ko wo aashna nahin milta
jo dar-e-kar-saz tak pahunche
us ko 'nayab' kya nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.