jis kun piyo ke hijr ka bairag hai
jis kuuñ piyo ke hijr kā bairāg hai
aah kā majlis meñ us kī raag hai
kyuuñ na ho.e dil jal ke ḳhākistar naman
ātishīñ-rū kī mohabbat aag hai
ai dil us ke zahr señ vasvās kar
zulf niiñ hai balki kaalā naag hai
jab señ laayā ishq ne fauj-e-junūñ
aql ke lashkar meñ bhāgā bhaag hai
tāla-e-sikandarī rakhtā 'sirāj'
rū-ba-rū ā.īna-rū kyā bhaag hai
jis kun piyo ke hijr ka bairag hai
aah ka majlis mein us ki rag hai
kyun na hoe dil jal ke KHakistar naman
aatishin-ru ki mohabbat aag hai
ai dil us ke zahr sen waswas kar
zulf nin hai balki kala nag hai
jab sen laya ishq ne fauj-e-junun
aql ke lashkar mein bhaga bhag hai
tala-e-sikandari rakhta 'siraj'
ru-ba-ru aaina-ru kya bhag hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 675)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.