jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai
jis kuuñ tujh ġham siiñ dil-shigāfī hai
marham-e-vasl us kuuñ shāfī hai
hosh khone ko mai nahīñ darkār
gardish-e-chashm-e-mast kaafī hai
be-ḳhatī meñ ayaañ hai sabza-e-ḳhat
tere aariz meñ bas ki saafī hai
baḳhsh mere gunāh kuuñ aa mil
ḳhat nahīñ ye ḳhat-e-muāfī hai
gul-badan kuuñ kaho ki sair kuuñ aa
aaj har gul chaman meñ laafī hai
ġhazab-e-yār siiñ na ho ġhamgīñ
jaur nahīñ mehr kī talāfī hai
rishta-e-āh-e-ātishīñ señ 'sirāj'
muj kuuñ har raat sho.ala-bāfī hai
jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai
marham-e-wasl us kun shafi hai
hosh khone ko mai nahin darkar
gardish-e-chashm-e-mast kafi hai
be-KHati mein ayan hai sabza-e-KHat
tere aariz mein bas ki safi hai
baKHsh mere gunah kun aa mil
KHat nahin ye KHat-e-muafi hai
gul-badan kun kaho ki sair kun aa
aaj har gul chaman mein lafi hai
ghazab-e-yar sin na ho ghamgin
jaur nahin mehr ki talafi hai
rishta-e-ah-e-atishin sen 'siraj'
muj kun har raat shoala-bafi hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 639)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.