jis manzil-e-maqsud pe dam TuT raha hai
jis manzil-e-maqsūd pe dam TuuT rahā hai
lagtā hai mirā ḳhvāb-e-iram TuuT rahā hai
ashkoñ pe mujhe zabt kā ik faḳhr thā lekin
vo sang-e-yaqīñ terī qasam TuuT rahā hai
lailā se kaho rāh-e-junūñ meñ nikal aa.e
sahrā meñ kahīñ qais kā dam TuuT rahā hai
har shauq har ummīd har ik aarzū sālim
ik dil thā tire zer-e-qadam TuuT rahā hai
ik baar mire chāñd ko gahnāyā thā is ne
sūraj pe yuuñ rātoñ kā sitam TuuT rahā hai
ik umr guzārī hai tirī yaad meñ 'kausar'
aa jā ki mirī zulf kā ḳham TuuT rahā hai
jis manzil-e-maqsud pe dam TuT raha hai
lagta hai mera KHwab-e-iram TuT raha hai
ashkon pe mujhe zabt ka ek faKHr tha lekin
wo sang-e-yaqin teri qasam TuT raha hai
laila se kaho rah-e-junun mein nikal aae
sahra mein kahin qais ka dam TuT raha hai
har shauq har ummid har ek aarzu salim
ek dil tha tere zer-e-qadam TuT raha hai
ek bar mere chand ko gahnaya tha is ne
suraj pe yun raaton ka sitam TuT raha hai
ek umr guzari hai teri yaad mein 'kausar'
aa ja ki meri zulf ka KHam TuT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.