jis mein sauda nahin wo sar hi nahin
jis meñ saudā nahīñ vo sar hī nahīñ
dard jis meñ nahīñ jigar hī nahīñ
log kahte haiñ vo bhī haiñ bechain
kuchh ye be-tābiyāñ idhar hī nahīñ
dil kahāñ kā jo dard-e-dil hī na ho
sar kahāñ kā jo dard-e-sar hī nahīñ
be-ḳhabar jin kī yaad meñ haiñ ham
ḳhair se un ko kuchh ḳhabar hī nahīñ
'beḳhud'-e-mahv o shikva-hā-e-itāb
is manush kā to vo bashar hī nahīñ
jis mein sauda nahin wo sar hi nahin
dard jis mein nahin jigar hi nahin
log kahte hain wo bhi hain bechain
kuchh ye be-tabiyan idhar hi nahin
dil kahan ka jo dard-e-dil hi na ho
sar kahan ka jo dard-e-sar hi nahin
be-KHabar jin ki yaad mein hain hum
KHair se un ko kuchh KHabar hi nahin
'beKHud'-e-mahw o shikwa-ha-e-itab
is manush ka to wo bashar hi nahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 186)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.