jis ne bandhe hain sare par mere
jis ne bāñdhe haiñ saare par mere
us ke hī gird haiñ safar mere
ek ḳhvāhish ne kitnā toḌ diyā
kho ga.e mujh se sab hunar mere
ġham ye jaate nahīñ kisī jānib
ho ga.e haiñ kuchh is qadar mere
ġhair mahsūs beḌiyāñ haiñ ka.ī
yuuñ bañdhe tujh se sab safar mere
yuuñ to kitnī duā.eñ thiiñ lekin
be-samar hī rahe shajar mere
de ke āzādiyāñ mujhe 'anjum'
roz us ne tarāshe par mere
jis ne bandhe hain sare par mere
us ke hi gird hain safar mere
ek KHwahish ne kitna toD diya
kho gae mujh se sab hunar mere
gham ye jate nahin kisi jaanib
ho gae hain kuchh is qadar mere
ghair mahsus beDiyan hain kai
yun bandhe tujh se sab safar mere
yun to kitni duaen thin lekin
be-samar hi rahe shajar mere
de ke aazadiyan mujhe 'anjum'
roz us ne tarashe par mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.