jis ne bhi dastan likhi hogi
jis ne bhī dāstāñ likhī hogī
kuchh to sachchā.ī bhī rahī hogī
kyuuñ mire dard ko yaqīñ hai bahut
terī āñkhoñ meñ bhī namī hogī
kyā karūñ dūsre janam kā maiñ
zindagī kal bhī ajnabī hogī
kitnī andhī hai aarzū merī
kyā kabhī is meñ raushnī hogī
qaid se ho chukī huuñ phir āzād
jaane kis ne gavāhī dī hogī
jis ne bhi dastan likhi hogi
kuchh to sachchai bhi rahi hogi
kyun mere dard ko yaqin hai bahut
teri aankhon mein bhi nami hogi
kya karun dusre janam ka main
zindagi kal bhi ajnabi hogi
kitni andhi hai aarzu meri
kya kabhi is mein raushni hogi
qaid se ho chuki hun phir aazad
jaane kis ne gawahi di hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.