jis ne daman thama hoga
jis ne dāman thāmā hogā
phuul nahīñ vo kāñTā hogā
patthar le kar log aa.e haiñ
mujh ko shīsha samjhā hogā
bastī meñ ab kis ko DhūñDūñ
qātil hī ik tanhā hogā
dūkānoñ par bhiiḌ ye kaisī
ḳhuun kisī kā biktā hogā
ghar ko aag lagā.ī kis ne
koī nahīñ ham-sāya hogā
bhīge bhīge lafz haiñ ḳhat meñ
likhne vaalā royā hogā
raat ga.e 'ḳhurshīd' ye dastak
shāyad koī bhūkā hogā
jis ne daman thama hoga
phul nahin wo kanTa hoga
patthar le kar log aae hain
mujh ko shisha samjha hoga
basti mein ab kis ko DhunDun
qatil hi ek tanha hoga
dukanon par bhiD ye kaisi
KHun kisi ka bikta hoga
ghar ko aag lagai kis ne
koi nahin ham-saya hoga
bhige bhige lafz hain KHat mein
likhne wala roya hoga
raat gae 'KHurshid' ye dastak
shayad koi bhuka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.