jis ne jaana jahan tamasha hai
jis ne jaanā jahāñ tamāshā hai
us kī Thokar meñ ye zamāna hai
be-ġharaz hār-jīt se jo ho
zindagī us kī fātehāna hai
fikr jo ḳhud giraft meñ rakkhe
us kā andāz shā.irāna hai
garm rakhtā hai jo ḳhudī apnī
be-niyāzī se vo shanāsā hai
do hī pal kā hai khel saarā 'sabā'
ba.ad meñ ḳhaak sab ko honā hai
jis ne jaana jahan tamasha hai
us ki Thokar mein ye zamana hai
be-gharaz haar-jit se jo ho
zindagi us ki fatehana hai
fikr jo KHud giraft mein rakkhe
us ka andaz shairana hai
garm rakhta hai jo KHudi apni
be-niyazi se wo shanasa hai
do hi pal ka hai khel sara 'saba'
baad mein KHak sab ko hona hai
- Book : Ehsaas (Pg. 107)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.