jis ne nashad kiya nam tumhaara kyon ho
jis ne nāshād kiyā naam tumhārā kyoñ ho
tum pe ilzām mire dost gavārā kyoñ ho
shab sisakte hue guzrī ho bhalā kyoñ merī
rote rote meñ koī din bhī guzārā kyoñ ho
saaf kapḌoñ meñ magar dekh ke jalte haiñ amiir
bas meñ un ke ho mujhe naan kā paarā kyoñ ho
bhūk-o-iflās kā hai raaj yahāñ chāroñ taraf
apnī dhartī kā hī gardish meñ sitārā kyoñ ho
bil-yaqīñ aur kisī ne hai use uksāyā
phuul ke mujh se mirā dost ġhubbāra kyoñ ho
maiñ ne jis raah pe khaa.ī hai shikast ai logo
aise jaada se guzar apnā dobāra kyoñ ho
jo bhī nuqsān huā mujh se izāla lenā
sach to ye hai ki mohabbat meñ ḳhasāra kyoñ ho
mujh ko taqdīr se be-vaj.h shikāyat hī rahī
khīñch qismat ne mujhe farsh pe maarā kyoñ ho
jis ne har haal meñ ġhurbat meñ tirā saath diyā
aaj amīrī meñ 'rashīd' us se kināra kyoñ ho
jis ne nashad kiya nam tumhaara kyon ho
tum pe ilzam mere dost gawara kyon ho
shab sisakte hue guzri ho bhala kyon meri
rote rote mein koi din bhi guzara kyon ho
saf kapDon mein magar dekh ke jalte hain amir
bas mein un ke ho mujhe nan ka para kyon ho
bhuk-o-iflas ka hai raj yahan chaaron taraf
apni dharti ka hi gardish mein sitara kyon ho
bil-yaqin aur kisi ne hai use uksaya
phul ke mujh se mera dost ghubbara kyon ho
main ne jis rah pe khai hai shikast ai logo
aise jada se guzar apna dobara kyon ho
jo bhi nuqsan hua mujh se izala lena
sach to ye hai ki mohabbat mein KHasara kyon ho
mujh ko taqdir se be-wajh shikayat hi rahi
khinch qismat ne mujhe farsh pe mara kyon ho
jis ne har haal mein ghurbat mein tera sath diya
aaj amiri mein 'rashid' us se kinara kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.