jis ne shiraaza bikhera umr ka
jis ne shīrāza bikherā umr kā
ye junūñ hāsil hai merā umr kā
ek lamha kyā milā thā hijr ko
kar liyā us ne baserā umr kā
thā diyā lekin use bujhne diyā
chun liyā maiñ ne añdherā umr kā
ek din aa.egā jab āfāq meñ
Duub jā.egā saverā umr kā
kū-ba-kū haiñ hijr kī parchhā.iyāñ
is se hai ābād Derā umr kā
jāntī huuñ chand lamhe saath hai
ho nahīñ saktā vo merā umr kā
'roz' tere hijr meñ masrūr hai
hai yahī ehsān terā umr kā
jis ne shiraaza bikhera umr ka
ye junun hasil hai mera umr ka
ek lamha kya mila tha hijr ko
kar liya us ne basera umr ka
tha diya lekin use bujhne diya
chun liya main ne andhera umr ka
ek din aaega jab aafaq mein
Dub jaega sawera umr ka
ku-ba-ku hain hijr ki parchhaiyan
is se hai aabaad Dera umr ka
jaanti hun chand lamhe sath hai
ho nahin sakta wo mera umr ka
'roz' tere hijr mein masrur hai
hai yahi ehsan tera umr ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.