jis ne zaKHmon ko hi ubhaara ho
jis ne zaḳhmoñ ko hī ubhārā ho
saath us ke kahāñ guzārā ho
chāñd kitnā hasīn lagtā hai
saath meñ jab koī sitārā ho
ik ishāre pe jaan bhī de duuñ
kaash terā agar ishāra ho
mujh ko Dasne lagī hai tanhā.ī
saath kuchh roz ab tumhārā ho
hosh kho baiThe ye 'zafar' apnā
is qadar husn kā nazārā ho
jis ne zaKHmon ko hi ubhaara ho
sath us ke kahan guzara ho
chand kitna hasin lagta hai
sath mein jab koi sitara ho
ek ishaare pe jaan bhi de dun
kash tera agar ishaara ho
mujh ko Dasne lagi hai tanhai
sath kuchh roz ab tumhaara ho
hosh kho baiThe ye 'zafar' apna
is qadar husn ka nazara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.