jis par kare nigah ke wo tir ka asar
jis par kare nigāh ke vo tiir kā asar
hotā nahīñ hai us pe kisī piir kā asar
tark-e-ta'alluqāt ke daurān tere lafz
mere jigar pe kar ga.e shamshīr kā asar
tum bevafā kā naam na denā kabhī use
us par huā hai merī hī taqdīr kā asar
phir yuuñ huā kī terī kamī khal ga.ī hameñ
kuchh roz to rahā tirī tasvīr kā asar
ai 'ishq terī qaid se chhūTe hue ye log
mahsūs karte rahte haiñ zanjīr kā asar
jis par kare nigah ke wo tir ka asar
hota nahin hai us pe kisi pir ka asar
tark-e-ta'alluqat ke dauran tere lafz
mere jigar pe kar gae shamshir ka asar
tum bewafa ka nam na dena kabhi use
us par hua hai meri hi taqdir ka asar
phir yun hua ki teri kami khal gai hamein
kuchh roz to raha teri taswir ka asar
ai 'ishq teri qaid se chhuTe hue ye log
mahsus karte rahte hain zanjir ka asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.