jis pe naraaz hai wo baat to dekh
jis pe nārāz hai vo baat to dekh
vaj.h-e-tark-e-ta’alluqāt to dekh
ye na.e ḳhvāb bhī sar āñkhoñ par
pahle is dil ke vājibāt to dekh
phir kisī ġhaznavī ke tālib haiñ
apne andar ke somnāt to dekh
surḳh ghūñghaT kī oT se ik baar
aa ke ashkoñ-bharī barāt to dekh
ek haiñ 'aam aadmī ke ḳhilāf
hukmarānoñ kī nafsiyāt to dekh
itnā bārīk jaise teġh kī dhaar
apnī jannat kā pul-sirāt to dekh
baa'd meñ sub.h-e-tīra ko ronā
pahle merī safed raat to dekh
chalte haiñ chāñd par magar pahle
merī muTThī meñ kā.enāt to dekh
bastiyāñ aatī jaatī rahtī haiñ
itnā lambā saḌak kā saath to dekh
jis pe naraaz hai wo baat to dekh
wajh-e-tark-e-ta’alluqat to dekh
ye nae KHwab bhi sar aankhon par
pahle is dil ke wajibaat to dekh
phir kisi ghaznawi ke talib hain
apne andar ke somnat to dekh
surKH ghunghaT ki oT se ek bar
aa ke ashkon-bhari baraat to dekh
ek hain 'am aadmi ke KHilaf
hukmaranon ki nafsiyat to dekh
itna barik jaise tegh ki dhaar
apni jannat ka pul-siraat to dekh
ba'd mein subh-e-tira ko rona
pahle meri safed raat to dekh
chalte hain chand par magar pahle
meri muTThi mein kaenat to dekh
bastiyan aati jati rahti hain
itna lamba saDak ka sath to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.