Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis pe neta ki nazar subh rahe sham rahe

Navak Lakhnavi

jis pe neta ki nazar subh rahe sham rahe

Navak Lakhnavi

MORE BYNavak Lakhnavi

    jis pe netā nazar sub.h rahe shaam rahe

    dhoñs meñ us na kyoñ gardish-e-ayyām rahe

    husn-e-fashion se jo har vaqt khule aam rahe

    naujavānoñ ko na kyoñ ishq sarsām rahe

    sar pe sasurāl meñ har shaḳhs biThātā hai mujhe

    jab talak jeb meñ sarkār mirī daam rahe

    jis ne haath meñ rishvat use pakḌā lekin

    hukm thā jin vo gum-nām the gum-nām rahe

    dekhte jā.iye kuchh duur nahīñ hai vo vaqt

    husn saḌkoñ pe rahe ishq sar-e-bām rahe

    maar khaa.ī tirī ulfat meñ hamīñ ne ai dost

    haa.e qismat ki hamīñ morid-e-ilzām rahe

    miT ga.e saare ta.assub ye mazā hai 'nāvak'

    shaiḳh ke saath jab jail meñ gumnām rahe

    jis pe neta ki nazar subh rahe sham rahe

    dhons mein us ki na kyon gardish-e-ayyam rahe

    husn-e-fashion se jo har waqt khule aam rahe

    naujawanon ko na kyon ishq ka sarsam rahe

    sar pe sasural mein har shaKHs biThata hai mujhe

    jab talak jeb mein sarkar meri dam rahe

    jis ne li hath mein rishwat use pakDa lekin

    hukm tha jin ka wo gum-nam the gum-nam rahe

    dekhte jaiye kuchh dur nahin hai wo waqt

    husn saDkon pe rahe ishq sar-e-baam rahe

    mar khai teri ulfat mein hamin ne ai dost

    hae qismat ki hamin morid-e-ilzam rahe

    miT gae sare tassub ye maza hai 'nawak'

    shaiKH ke sath hi jab jail mein gumnam rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now