jis qadar bhi hawa hai Khaali hai
jis qadar bhī havā hai ḳhālī hai
ye jahāñ khokhlā hai ḳhālī hai
tum mujhe jis makāñ kā pūchhte ho
vo mire dost kā hai ḳhālī hai
qaht ne saare ghar ujaaḌ diye
ek jo bach gayā hai ḳhālī hai
ab jalāne ke kaam aa.egā
shāḳh par ghoñsla hai ḳhālī hai
ya.anī kam bolne meñ hikmat hai
aur jo chīḳhtā hai ḳhālī hai
jis qadar bhi hawa hai KHali hai
ye jahan khokhla hai KHali hai
tum mujhe jis makan ka puchhte ho
wo mere dost ka hai KHali hai
qaht ne sare ghar ujaD diye
ek jo bach gaya hai KHali hai
ab jalane ke kaam aaega
shaKH par ghonsla hai KHali hai
yani kam bolne mein hikmat hai
aur jo chiKHta hai KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.