jis qadar hain husn ki zebaiyan
jis qadar haiñ husn kī zebā.iyāñ
us qadar haiñ ishq kī rusvā.iyāñ
merī jānib hai ruḳh-e-tasvīr-e-dost
luuT liiñ is ne mirī tanhā.iyāñ
dene vaale ab to dāman bhī nahīñ
is qadar terī karam-farmā.iyāñ
husn kā nāz-e-pashemāñ dekh kar
ishq ko aane lagīñ añgḌā.iyāñ
ho gayā mushkil tirā pahchānñā
roz-afzūñ haiñ tirī ra.anā.iyāñ
ġham kī shab 'kaifī' mirā koī nahīñ
duur mujh se ho ga.iiñ parchhā.iyāñ
jis qadar hain husn ki zebaiyan
us qadar hain ishq ki ruswaiyan
meri jaanib hai ruKH-e-taswir-e-dost
luT lin is ne meri tanhaiyan
dene wale ab to daman bhi nahin
is qadar teri karam-farmaiyan
husn ka naz-e-pasheman dekh kar
ishq ko aane lagin angDaiyan
ho gaya mushkil tera pahchanna
roz-afzun hain teri ranaiyan
gham ki shab 'kaifi' mera koi nahin
dur mujh se ho gain parchhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.