jis qadar sunta hun mashshaq hue jate hain
jis qadar suntā huuñ mashshāq hue jaate haiñ
zahr ke 'aib bhī tiryāq hue jaate haiñ
ham bhī kuchh band kitāboñ kī tarah haiñ lekin
aap ke sāmne aurāq hue jaate haiñ
dūsre darje ke logoñ se ta'alluq rakh kar
aa.e din aap bad-aḳhlāq hue jaate haiñ
ye ḳhabar qāfile vāloñ ko batā dī jaa.e
rahnumā qaum ke qazzāq hue jaate haiñ
mere sūraj ko chhupāne ke liye har lamha
vo mire vāste āfāq hue jaate haiñ
dard kī sham' mire dil meñ faqat jalne se
yād-e-māzī ke siyah taaq hue jaate haiñ
aap to aap haiñ qatra hoñ yā dariyā sāhib
aap kyoñ hazrat-e-'misdāq' hue jaate
jis qadar sunta hun mashshaq hue jate hain
zahr ke 'aib bhi tiryaq hue jate hain
hum bhi kuchh band kitabon ki tarah hain lekin
aap ke samne auraq hue jate hain
dusre darje ke logon se ta'alluq rakh kar
aae din aap bad-aKHlaq hue jate hain
ye KHabar qafile walon ko bata di jae
rahnuma qaum ke qazzaq hue jate hain
mere suraj ko chhupane ke liye har lamha
wo mere waste aafaq hue jate hain
dard ki sham' mere dil mein faqat jalne se
yaad-e-mazi ke siyah taq hue jate hain
aap to aap hain qatra hon ya dariya sahib
aap kyon hazrat-e-'misdaq' hue jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.