jis raste pe panw rakha us se ja mila
jis rāste pe paañv rakhā us se jā milā
duniyā se jab gurez kiyā bhī to kyā milā
mere sivā kisī se na miltā thā vo kabhī
merī hī zid meñ har kas-o-nā-kas se jā milā
miltī mujhe na sohbat-e-nā-jins kī sazā
duniyā ko ḳhuub merā surāġh-e-fanā milā
chāroñ taraf bahār ke āsār the magar
naqsh-e-namūna sabza-e-begāna kā milā
jis raste pe panw rakha us se ja mila
duniya se jab gurez kiya bhi to kya mila
mere siwa kisi se na milta tha wo kabhi
meri hi zid mein har kas-o-na-kas se ja mila
milti mujhe na sohbat-e-na-jins ki saza
duniya ko KHub mera suragh-e-fana mila
chaaron taraf bahaar ke aasar the magar
naqsh-e-namuna sabza-e-begana ka mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.