jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main
jis raat bhī charāġh-e-shab-e-ġham rahā huuñ maiñ
us raat raushnī meñ bahut kam rahā huuñ maiñ
ġhairoñ se dostī ko baḌhāyā hai apnā haath
ḳhud kitnā apne aap se barham rahā huuñ maiñ
ḳhushbū dil-o-dimāġh meñ aur vo bhī is qadar
phūloñ kā ham-nashīñ to bahut kam rahā huuñ maiñ
ye shahr-e-jism-o-jāñ mirī pahchān ban gayā
is shahr meñ agarche bahut kam rahā huuñ maiñ
kuchh phuul haath par mire kuchh ḳhaar jism meñ
'saulat' ye kis bahār kā mausam rahā huuñ maiñ
jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main
us raat raushni mein bahut kam raha hun main
ghairon se dosti ko baDhaya hai apna hath
KHud kitna apne aap se barham raha hun main
KHushbu dil-o-dimagh mein aur wo bhi is qadar
phulon ka ham-nashin to bahut kam raha hun main
ye shahr-e-jism-o-jaan meri pahchan ban gaya
is shahr mein agarche bahut kam raha hun main
kuchh phul hath par mere kuchh KHar jism mein
'saulat' ye kis bahaar ka mausam raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.