jis raat teri yaad ke lashkar nahin aae
jis raat teri yaad ke lashkar nahin aae
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
jis raat tirī yaad ke lashkar nahīñ aa.e
us raat mire ḳhvāb meñ gauhar nahīñ aa.e
is baat kā dukh hai ki mire shahr meñ rah kar
ahbāb bulāne pe bhī aksar nahīñ aa.e
phaldār daraḳhtoñ kī kaTā.ī se milā sukh
is saal mire sahn meñ patthar nahīñ aa.e
kuchh log bahut saal mire qurb meñ rah kar
bechain tabī'at ko mayassar nahīñ aa.e
dariyā to gire ḳhūbī-e-taqdīr ke hāthoñ
milne ko samundar meñ samundar nahīñ aa.e
jis raat teri yaad ke lashkar nahin aae
us raat mere KHwab mein gauhar nahin aae
is baat ka dukh hai ki mere shahr mein rah kar
ahbab bulane pe bhi aksar nahin aae
phaldar daraKHton ki kaTai se mila sukh
is sal mere sahn mein patthar nahin aae
kuchh log bahut sal mere qurb mein rah kar
bechain tabi'at ko mayassar nahin aae
dariya to gire KHubi-e-taqdir ke hathon
milne ko samundar mein samundar nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.