jis sabr-o-raza se tere raste pe rawan hun
jis sabr-o-razā se tire raste pe ravāñ huuñ
bātil ke irādoñ ke liye koh-e-girāñ huuñ
ai māh-e-munavvar tujhe us dar kī qasam hai
rasta ve sujhā de ki maiñ ik pal meñ vahāñ huuñ
aanā na gavārā ho agar kūche se un ke
marqad mirā kar diije farastāda jahāñ huuñ
afkār na jazboñ kī pazīrā.ī jahāñ meñ
ab apne hī idrāk se maiñ ḳhud bhī nihāñ huuñ
shunvā.ī mirī zaat kī jis dar se muqaddar
sar-basta liye raaz sabhī us pe ayaañ huuñ
yuuñ dāman-e-rahmat ne chhupā rakkhā hai mujh ko
gardish mujhe ab DhūñDtī phirtī hai kahāñ huuñ
jis sabr-o-raza se tere raste pe rawan hun
baatil ke iradon ke liye koh-e-giran hun
ai mah-e-munawwar tujhe us dar ki qasam hai
rasta we sujha de ki main ek pal mein wahan hun
aana na gawara ho agar kuche se un ke
marqad mera kar dije farastada jahan hun
afkar na jazbon ki pazirai jahan mein
ab apne hi idrak se main KHud bhi nihan hun
shunwai meri zat ki jis dar se muqaddar
sar-basta liye raaz sabhi us pe ayan hun
yun daman-e-rahmat ne chhupa rakkha hai mujh ko
gardish mujhe ab DhunDti phirti hai kahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.