jis se bhi humne dil-lagi ki hai
jis se bhī ham ne dil-lagī kī hai
us ne hī mujh se be-ruḳhī kī hai
kyā batā.eñ ki kaise haiñ ham log
ham ne apnoñ se dushmanī kī hai
jab guloñ se hamārī ban na sakī
ham ne kāñToñ se dostī kī hai
roz ik imtihān ho jaise
ye kahānī bhī zindagī kī hai
jo vafā ham se kar nahīñ paa.e
ham ne un kī bhī pairvī kī hai
dar-ba-dar aaj phirte haiñ ham jo
ye sazā bhī to 'ishq hī kī hai
apne qismat se jo laḌe 'minhāj'
itnī himmat kahāñ kisī kī hai
jis se bhi hum ne dil-lagi ki hai
us ne hi mujh se be-ruKHi ki hai
kya bataen ki kaise hain hum log
hum ne apnon se dushmani ki hai
jab gulon se hamari ban na saki
hum ne kanTon se dosti ki hai
roz ek imtihan ho jaise
ye kahani bhi zindagi ki hai
jo wafa hum se kar nahin pae
hum ne un ki bhi pairwi ki hai
dar-ba-dar aaj phirte hain hum jo
ye saza bhi to 'ishq hi ki hai
apne qismat se jo laDe 'minhaj'
itni himmat kahan kisi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.