jis se wafa ki thi umid usne ada kiya ye haq
jis se vafā kī thī umiid us ne adā kiyā ye haq
auroñ se irtibāt kī aur mujhe diyā qalaq
terī jafā vafā sahī merī vafā jafā sahī
ḳhuun kisī kā bhī nahīñ to ye batā hai kyā shafaq
mus.haf-e-ruḳh hī dard thā aur na thā koī ḳhayāl
'ishq ne ḳhud paḌhā diyā husn kā ek ik varaq
aur to haiñ rivāyateñ maz.hab-e-'ishq hai sahīh
roz 'atā ho shauq se vahī na.ī nayā sabaq
jazba-e-dil ġhalat sahī kuchh to subūt-e-ishq dekh
tafta jigar havās gum ḳhīra nazar kaleja shaq
'sehr' to mujtahid hai ḳhud kyuuñ ho muqallid aur kā
bahr o radīf o qāfiya hai fann-e-shā.irī adaq
jis se wafa ki thi umid us ne ada kiya ye haq
auron se irtibaat ki aur mujhe diya qalaq
teri jafa wafa sahi meri wafa jafa sahi
KHun kisi ka bhi nahin to ye bata hai kya shafaq
mushaf-e-ruKH hi dard tha aur na tha koi KHayal
'ishq ne KHud paDha diya husn ka ek ek waraq
aur to hain riwayaten mazhab-e-'ishq hai sahih
roz 'ata ho shauq se wahi nai naya sabaq
jazba-e-dil ghalat sahi kuchh to subut-e-ishq dekh
tafta jigar hawas gum KHira nazar kaleja shaq
'sehr' to mujtahid hai KHud kyun ho muqallid aur ka
bahr o radif o qafiya hai fann-e-shairi adaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.