jis shaKHs ko dekho wahi sargarm-e-safar hai
jis shaḳhs ko dekho vahī sargarm-e-safar hai
duniyā kahīñ vīrān na ho jaa.e ye Dar hai
lā.egī kabhī rañg havāoñ kī mohabbat
ham jis meñ basar karte haiñ vo ret kā ghar hai
sahrā meñ kisī saa.e kī ummīd na TuuTī
hasrat kī nigāhoñ meñ bagūlā bhī shajar hai
niklī hai gumānoñ se yahī shakl yaqīñ kī
jis samt uḌe gard vahī rāhguzar hai
mahtāb to niklā hī nahīñ Duub ke 'fāḳhir'
lekin mire dariyā meñ vahī madd-o-jazar hai
jis shaKHs ko dekho wahi sargarm-e-safar hai
duniya kahin viran na ho jae ye Dar hai
laegi kabhi rang hawaon ki mohabbat
hum jis mein basar karte hain wo ret ka ghar hai
sahra mein kisi sae ki ummid na TuTi
hasrat ki nigahon mein bagula bhi shajar hai
nikli hai gumanon se yahi shakl yaqin ki
jis samt uDe gard wahi rahguzar hai
mahtab to nikla hi nahin Dub ke 'faKHir'
lekin mere dariya mein wahi madd-o-jazar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.