jis shaKHs ne bhi khae hain sangin zaKHm-e-dil
jis shaḳhs ne bhī khaa.e haiñ sañgīn zaḳhm-e-dil
dete usī ko haiñ yahāñ taskīn zaḳhm-e-dil
be-rañg ho ga.e haiñ gol-o-sabza-o-bahār
lekin abhī talak haiñ ye rañgīn zaḳhm-e-dil
hañs kar mazāq jab bhī uḌāyā hai dard kā
tab tab lagā ki ho ga.e ġhamgīn zaḳhm-e-dil
baiThī huī thiiñ taḳht pe ḳhushiyāñ to ThaaT se
un ko haTā ke ho ga.e āsīn zaḳhm-e-dil
ruḳh hai udaas ashk haiñ āñkhoñ meñ be-shumār
karne lage haiñ ishq kī tauhīn zaḳhm-e-dil
maiñ ne kahā hare hī raheñ umr bhar 'anā'
kahne lage the jhaT se hī āmīn zaḳhm-e-dil
jis shaKHs ne bhi khae hain sangin zaKHm-e-dil
dete usi ko hain yahan taskin zaKHm-e-dil
be-rang ho gae hain gol-o-sabza-o-bahaar
lekin abhi talak hain ye rangin zaKHm-e-dil
hans kar mazaq jab bhi uDaya hai dard ka
tab tab laga ki ho gae ghamgin zaKHm-e-dil
baiThi hui thin taKHt pe KHushiyan to ThaT se
un ko haTa ke ho gae aasin zaKHm-e-dil
ruKH hai udas ashk hain aankhon mein be-shumar
karne lage hain ishq ki tauhin zaKHm-e-dil
main ne kaha hare hi rahen umr bhar 'ana'
kahne lage the jhaT se hi aamin zaKHm-e-dil
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.