jis taraf bhī vo ik nazar Daale
sab ke sab ḳhālī jaam bhar Daale
is mohabbat ke jab gale lagā maiñ
ruuh meñ us ne chhed kar Daale
yuuñ bhī nochā hai ḳhud ko vahshat meñ
apne nāḳhun bhī ḳhud katar Daale
us ke dar kā maiñ bas rahūñ saa.il
bhiik jholī meñ vo agar Daale
rū-ba-rū jab vo 'shoḳh' aayā to
haath donoñ hī dil pe dhar Daale
jis taraf bhi wo ek nazar Dale
sab ke sab KHali jam bhar Dale
is mohabbat ke jab gale laga main
ruh mein us ne chhed kar Dale
yun bhi nocha hai KHud ko wahshat mein
apne naKHun bhi KHud katar Dale
us ke dar ka main bas rahun sail
bhik jholi mein wo agar Dale
ru-ba-ru jab wo 'shoKH' aaya to
hath donon hi dil pe dhar Dale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.