jis taraf dekhiye hai virana
jis taraf dekhiye hai vīrāna
dil hai yā hai koī ‘azā-ḳhāna
vahshat-e-zindagī se ghabrā kar
DhūñDhtī hai nigāh mai-ḳhāna
'ishq mujh se agar kare koī
to kare 'ishq bhī zuleḳhāna
ik to manzil hī be-nishāñ hai aur
sāmne rāsta hai begāna
kuchh to rangat badal ga.ī merī
aa.ina bhī hai kuchh judāgāna
kyoñ bhaTaktā phiregā koī agar
paas masjid ke ho sanam-ḳhāna
jitnā vīrān ho gayā maiñ 'jamāl'
itnā vīrāñ kahāñ hai vīrāna
jis taraf dekhiye hai virana
dil hai ya hai koi ‘aza-KHana
wahshat-e-zindagi se ghabra kar
DhunDhti hai nigah mai-KHana
'ishq mujh se agar kare koi
to kare 'ishq bhi zuleKHana
ek to manzil hi be-nishan hai aur
samne rasta hai begana
kuchh to rangat badal gai meri
aaina bhi hai kuchh judagana
kyon bhaTakta phirega koi agar
pas masjid ke ho sanam-KHana
jitna viran ho gaya main 'jamal'
itna viran kahan hai virana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.