jis taraf dekho nazar aate hain tane wale
jis taraf dekho nazar aate hain tane wale
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
jis taraf dekho nazar aate haiñ ta.ane vaale
haiñ kahāñ naġhma-e-dil-gīr sunāne vaale
kis se rūTheñge bhalā kaun manā.egā hameñ
zīnat-e-shahr-e-ḳhamoshāñ haiñ manāne vaale
ab to ta.abīr bhī bar-aks nazar aatī hai
gum hue jaane kahāñ ḳhvāb suhāne vaale
ye zamāne kā taqāza hai karūñ āh-o-bukā
varna ye lab the hamesha se tarāne vaale
kaise iz.hār karūñ ishq-e-ḳhafī kā tum se
mujh ko majnūñ kā laqab deñge zamāne vaale
ye karishma bhī tumhārī hī mohabbat se huā
miT ga.e ham ko zamāne se miTāne vaale
dhaḌkaneñ apne ahāta se nikal aa.ī haiñ
aisā lagtā hai ki nazdīk haiñ aane vaale
ḳhanjar-e-zulm ne yuuñ hī to galā chūmā hai
ham haiñ neze pe bhī qur.ān sunāne vaale
ham to talvār ko ḳhud apnī zabāñ dete haiñ
ham haiñ har haal meñ va.ade ko nibhāne vaale
is se aage to faqat saath 'falak hai mere
qabr tak jā.eñge kāñdhoñ pe uThāne vaale
jis taraf dekho nazar aate hain tane wale
hain kahan naghma-e-dil-gir sunane wale
kis se ruThenge bhala kaun manaega hamein
zinat-e-shahr-e-KHamoshan hain manane wale
ab to tabir bhi bar-aks nazar aati hai
gum hue jaane kahan KHwab suhane wale
ye zamane ka taqaza hai karun aah-o-buka
warna ye lab the hamesha se tarane wale
kaise izhaar karun ishq-e-KHafi ka tum se
mujh ko majnun ka laqab denge zamane wale
ye karishma bhi tumhaari hi mohabbat se hua
miT gae hum ko zamane se miTane wale
dhaDkanen apne ahata se nikal aai hain
aisa lagta hai ki nazdik hain aane wale
KHanjar-e-zulm ne yun hi to gala chuma hai
hum hain neze pe bhi quran sunane wale
hum to talwar ko KHud apni zaban dete hain
hum hain har haal mein wade ko nibhane wale
is se aage to faqat sath 'falak hai mere
qabr tak jaenge kandhon pe uThane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.